Monday, 16 December 2013

Wanna be Happy, Oh yeah!! Lets be buoyant

Being a typical wanna be poet is not that easy as it seems to be, i.e. your entire work, your entire creation revolves around sun, moon, stars, rains and the rest. May be sometimes it becomes quite challenging for readers to go with the flow or to carry the patience till the end. Well! my most of the poetry stuffs is stocked of such thing. So, the one right below is not something from different race but something which had all of it. Because all what I've cultured from my life till now is that,
"Elegance of nature of worth admiring. "

So, here it is. a poetry which will allow you to flow along with it, which can make you feel that may be its misty, everywhere there's intense darkness lets pick a candle up. may you can't get everything the way you need them to be, but lets just accept what all we have, lets just accept the fact we'll have them someday better than the way they are today,and lets "Hope" that someday or the other things will fall into the places they are supposed to be.




Kuch Yuhin Seekh Liya


Kuch yun alvida keh gya humse ye sawan,
Ki uss dheemi khushbu ka intezaar mann mein hi reh gaya,
Kuch yun doob gaya ye suraj ki asmaan ko laali,
Aur ek sehmi si saanjh de gya,
Sawan ki raaton ka maza kuch aur hi hota,
Par iss bairi umar ka takaza ho pata,
Uske pehle hi iss sawan ka jhonka humari saari jawani le gaya,
Yun to raat ki tarah iss raat bhi,
Humare diye tale hi andhera hai,
Par iss akhri deepak k tale hi to humara basera hai,
Ankhon mein ummedon k taare jagmate reh jaate hai,
Aur hum har roz ki tarah yuhin muskurate hue so jate hai,
Humare to sapno ka rannk bhi apni hi ek duniya ka raja hai,
Unn sitaron se timtimati raat mein, 
Har roz ek nayi kahani sunata hai,
Raub to inka itna hai jaise hum iske sewak aur yehi humare khwaja hain.



A iss raat ki farmaish pe sawera kuch yun hojata,
Ki uss taron ki duniya ko ankhen khol k bhi ye mann bhool na pata,
Iss mann ki awaaz ko chilla-chilla kar ye baddbola har roz kehta,
Ek Ullas ki leher har pal zehen mein dodd kar dil ko choo jati,
Kuch yun ek anjaan ummang na jaane har pal hassti, gaati, khilkhilati,
ki usko dekh hum jhoom se uthte,
Kuch yun sapno ki duniya ko jeena ek junoon bann jata,
Ki humara har andaaz, har ikraar, uss ankahi khwaish ki gawahi dene lagta.

Par taaronka to kaam hi hai timtimana,
Kabhi jagmagana kuch yun,
Kuch yun ki kuch dikh hi na paye,
Kbhi kuch yun kho jana ki koi unhe dhundh bhi na paaye,
Aur ek din yuhin timtimate, jagmagate, har tara, ye har sapna toot jata hai,
Uss jhilmilati duniya ki khwahish adhoori reh jati,
Uss ummeed ki aakhri kiran iss sanjh k sath hi doob jati

Na jane kyun phir  baar-baar k tees ki tarah,
Vo dard uthne ki koshish karta,
Par yahin humari saari chaturayi iss dil ko dhool dikhati,
Jab har sitare ne humse apna muu modd lia,
Shayad tbhi humne iss subah k sulagte sartaaj se apna mann jodd liya,
Halaki yun sulgane ka dard unn gumnaam sitaron ki yadon se kam na tha,
Par kuch yun ek chalak mahashay humko keh gye ki,
Jinn sitaron ki tim tim tmhare naino ko jagmagati hai,
Ab unki vahi roshni tmhe har roz jagati hai,
Aur Phir kya,
Koi khud ko manana humse seekhe,
Jalte hue bhi jagmagana koi humse seekhe,
Ummeed to ye bhi nahi ki kal ka din hoga,
Par phir bhi Naye podhe lagana koi humse seekhe.


0 comments:

Post a Comment