Sunday, 10 November 2013

Turning Instinctive

Success and failure are two imperative and crucial altitudes of life. Each helps us to move a step forward. Achieving success is like Everything is good going. A phase in life comes when you feel like their's nothing to worry about, you feel as if your destiny is walking along with you. But no matter how lucky you are you ought to face that aspect of life where it says you'll curse your destiny, everything seems like going far away and theirs no way to get back that's where your heart takes over your mind. So, all what you need to do is, Take a deep breath, look right into the eyes of every complication and create your own chapters of life.



Na jaane iss din ki subah kb hogi


Har roz, har waqt, har lamha iss pal k beetne ki chah rehti h
Har ghaddi kuch yun raton ki khamoshi kehti hai
Na jane kab tak iss sannate ko sunn sunn kar raaten bitaoge
Na jaane kab tak Har waqt ek hi baat dohraoge

Jisse jana tha vo chala gya
Jisse ana hoga aa jayga
Kisiki khamoshi ka matlab dhundhte dhundhte 
kahin apni awaaz pehchanna mushkil na ho jaye
Ya apni awaaz ko hmesha sunte hue bhi
Unki samajhne ki adat na ho jaye

Har waqt khud ko samjhate samjhate ab mann odd sa gya 
Har raat ko yun hi doobte dekh ankhon ka sitara toot sa gya
Har roz jab chand dhundhla hokar dood jata
Ek dheemi si awaaz suraj lagata
Ek ummeed ki dor thame hun chalna shuru kar dete
Aur chalte chalte Har khud ko wahin khada dekh muskura dete
Na jaane aage kya hai
NA jaane peeche kya tha
Inn sawalon ko uss dor pe lapete hum yuhin khade khade din ko dhalte dekhte reh jate

Shayad, ek pal ka intezar tha
Ek chah poori hone ki aas thi,
Jaise har niwale k baad pani ki pyaas thi
Jaise sab kuch aage badd rha tha par pawn jamm se gaye the
jaise chalne to hum chahte the par thamm se gye the

Yum to har raat k baad din hota tha
Par ye bawra mann to ek subah k liye rota tha
Raton mein khamoshi aur din mein khalbali
par jo mann ko bhaye thi vo ek subah chulbuli

Har ratt din se aur din raat se yahi puchte reh jaate
Par inn nazakaton ke daman se uth nhi paate
Ek dusre ko aate jate dek khud mein hi muskurate

jab hr din ek pal sa lage
aur har pal mein saddiyan jee li ho
jab har har raat ko chaadar banna k odda ho
phr bhi aansu jamm gye ho
shayad tbhi ankhon ki patti khul gyi thi
ankahi baton ko smjhna aasan na tha
par ek koshish to kar hi li

khushiyon ko jeena seekha
haar ko dekh muskurana seekha
jo beet gya usko bhulana seekha
jo aane wala hai usko apnana seekha

"Jab tak tjhko pathh na padaya
tujhe mera matlab samajh na aya"
kuch yun ab to zindagi kehti hogi
Aur ab na jaane kab ye din dhalega
aur na jaane kab phr iss din ki subah hone ki baari hogi




0 comments:

Post a Comment