Sunday, 17 November 2013
Wednesday, 13 November 2013
Once in a lifetime
Being a social animal, we human have a lot of people around whom we know and talk to, they are divided, in fact grouped on the basis of various categories and among these groups exist a very special bunch of people, we call them "Friends". Most of us have a lot of friends with us and our own world of friendship. Now, if we exclude that "Pyar mohabbat" stuff you'll find a very special person in your friends, a person with whom you're like,
"When we're together, nothing else matter."
A person who will occupy about every single hour of your day and every bit of your priorities, a person with whom you can share like every emotion, and hings go like, you don't need to complete to make her/him understand what you are up to. Such people are called Buddies & best friends and such a friendship is called "Once in a lifetime friendship".
Har pal ko khul kar jeete hai hum
Sanson ko thame ummedon ki dor se,
Chal diye kuch yuhi ek chhor se,
Hothon par muskan to aisi hai
Jaise pattjhadd ki dhoop ho
Chehre ki laali ka kya kehna
Jaise yehi tera roop ho,
Har ghum, har pareshani ko mil kar sehte hai hum
Har aansu ka pyala aankhon se peete hai hum
Kuch yuhin,
Har pal ko khul kar jeete hai hum
Na koi parvah, Na koi fariyad hai
Inn chehron k peeche chup jati jo baat h,
Uss har shikwe ko bahon mein lete hai hum
Sath sath bhale raaste kam padd jayen
Par ek dooje ke bina hum chal bhi na paye
Shayad iss hi liye
Har pal ko khul kar jeete hai hum
Humari muskan ke peeche chhupa hua to raaz hai
Vo to pitare main bannd hi reh gaya
Na jaane kya hua jo ek dusre se laddte jhagadte, ruthte manate
sawan guzar gya,
Jab sath hote,to samay ki seema ko bhi kahan dekh paate hai hum
Kyunki apni diniya ke to raja rani aur praja hai hum
Haan iss hi liye
Har pal ko khul kar jee bhar kar jeete hai hum
Shayad ek dheema sa nagma koi gunguna rha tha
Humen zabardasti rulana vo chah raha tha
Par yaron,
Har nagma, har gazaL, har gaana, kanon se kahan
ek dusre ke dil se sunte hai hum
Yehi to raaz hai ki
Har lamha khul kar jeete hai hum
Par haste gaate zingagi jeena asaan kahan hai
Har rishte ki umar ho jaati hai
Har dor mein gaanth padd jati hai
Jahan aaj mein hun shayad aaj tu bhi vahan hai
Par ummed pe kayam to ye saara jahan hai,
Rhenge hum Iss ummed ki dor ko thame
Humari muskan se phir barpenge hungame
Jiss din phir chal padenge unn hi rahon pe
Har chhre ki muskan kuch yun chura lenge hum
Kyunki haste gaate, sbko rulate hassate
Apni duniya ko sbke sath jeete hai hum
koi ho na ho
Har pal ko khul kar jeete hai hum
Sunday, 10 November 2013
Turning Instinctive
Success and failure are two imperative and crucial altitudes of life. Each helps us to move a step forward. Achieving success is like Everything is good going. A phase in life comes when you feel like their's nothing to worry about, you feel as if your destiny is walking along with you. But no matter how lucky you are you ought to face that aspect of life where it says you'll curse your destiny, everything seems like going far away and theirs no way to get back that's where your heart takes over your mind. So, all what you need to do is, Take a deep breath, look right into the eyes of every complication and create your own chapters of life.
Na jaane iss din ki subah kb hogi
Har roz, har waqt, har lamha iss pal k beetne ki chah rehti h
Har ghaddi kuch yun raton ki khamoshi kehti hai
Na jane kab tak iss sannate ko sunn sunn kar raaten bitaoge
Na jaane kab tak Har waqt ek hi baat dohraoge
Jisse jana tha vo chala gya
Jisse ana hoga aa jayga
Kisiki khamoshi ka matlab dhundhte dhundhte
kahin apni awaaz pehchanna mushkil na ho jaye
Ya apni awaaz ko hmesha sunte hue bhi
Unki samajhne ki adat na ho jaye
Har waqt khud ko samjhate samjhate ab mann odd sa gya
Har raat ko yun hi doobte dekh ankhon ka sitara toot sa gya
Har roz jab chand dhundhla hokar dood jata
Ek dheemi si awaaz suraj lagata
Ek ummeed ki dor thame hun chalna shuru kar dete
Aur chalte chalte Har khud ko wahin khada dekh muskura dete
Na jaane aage kya hai
NA jaane peeche kya tha
Inn sawalon ko uss dor pe lapete hum yuhin khade khade din ko dhalte dekhte reh jate
Shayad, ek pal ka intezar tha
Ek chah poori hone ki aas thi,
Jaise har niwale k baad pani ki pyaas thi
Jaise sab kuch aage badd rha tha par pawn jamm se gaye the
jaise chalne to hum chahte the par thamm se gye the
Yum to har raat k baad din hota tha
Par ye bawra mann to ek subah k liye rota tha
Raton mein khamoshi aur din mein khalbali
par jo mann ko bhaye thi vo ek subah chulbuli
Har ratt din se aur din raat se yahi puchte reh jaate
Par inn nazakaton ke daman se uth nhi paate
Ek dusre ko aate jate dek khud mein hi muskurate
jab hr din ek pal sa lage
aur har pal mein saddiyan jee li ho
jab har har raat ko chaadar banna k odda ho
phr bhi aansu jamm gye ho
shayad tbhi ankhon ki patti khul gyi thi
ankahi baton ko smjhna aasan na tha
par ek koshish to kar hi li
khushiyon ko jeena seekha
haar ko dekh muskurana seekha
jo beet gya usko bhulana seekha
jo aane wala hai usko apnana seekha
"Jab tak tjhko pathh na padaya
tujhe mera matlab samajh na aya"
kuch yun ab to zindagi kehti hogi
Aur ab na jaane kab ye din dhalega
aur na jaane kab phr iss din ki subah hone ki baari hogi